Janam Patrika me Pitra dosh hai ya nahi ye to astrologers Patri dekh kar pata laga hi lete hai, bahut se sutra hai falit jyotish me ye janne ke liyye. Is dosh ki shanti ka sabase bada upay to ye hai ki hum apne mata-pita ko pura pura samman de aur unki seva kare. Surya is charachar jagat ke prataksya dev hai aur ve hi pitra karak grah bhi hai isliye niymit roop se surya ki istuti kare. Pitra dosh ki shanti ki general lokritio aur parapsychological remadies is prakar hai: .. Parindha (Jaha pine) ka pani rakha jata hai vaha subah shyam pitro ko samarpit karte hue deep kare. .. Niyamit roop se rojana “OM PITRAY NAMAH ” mantra ki ek mala ka jaap kare. .. Ghar me jo bhi khane ki pakki samagri ati hai usme se sabse pahhle pitro ke naam ka bhog nikal kar unhe shradha se arpit kare. 4. Har mahine ki ammavasya ko sanan karne ke baad sarv pratham purv disha ki aur mukh karke baith kar pitro ko kusha se jal arpit kare (jalanjali). 5. amavasya ko aggyari (kande ki aag) karke pitro ko prashad chadhaye aur ant me jal chadha na bhoole. 6.amavasya ko hi pitro ki avastha (age – baal pitra ya matured age ke pitra) ke admi ya brahman ko khana khilaye. 7. Ho sake to amavasya ke din pitro ke naam ka gaya mata ko 5 fal khilaye. 8. bade mahino (chetra, baishakh, bhadpad, maagh) ko amavasya ke purv ratri ko pitro ki istuti me jagran kare aur dusre din amavasya kopitro ke bhog aadi lag kar brahman ko khana khilaye aur 5 baratan, 5 kapdo ke saath dakshina de kar vida kare. 9. tirth sthano ki yatra ke samay vaha pitro ki pooja karva kar tarpan kare. 1.. yadi sambhav ho to narayan naag bali ka vidhan karvaye. isi tarah pitro ki shanti aur unki kripa prapat karne ke upay hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here